Hello dosto
Mai aapka dost aaj phir se hazir hoon aap sab ke liye
Toh dost aap sb ne meri kahani ' Train ka Safar 1' zarur padha hoga, toh dosto mai aage ki kahani start karta hoon, mai jaise hi train ke andar apni seat pe aaya toh samne ek bohot hi khubsurat si ladki baithi hui thi , mai use kuch der aisehi dekhta rha aur wo na jane kaha khoyi hui thi, phir train khulne lagi toh main apni seat pe jakr baith gya uss khubsurat si ladki ne ek baar meri taraf nazar ghumai aur upar se niche tak dekha . phir kaano me head phone lagayi aur apni hi dhun me kho gayi isi tarah kai kuch samay bit gya main soch rha tha ki us ladki se baate karu, par na jane kyu dar sa lag rha tha , kyu ki maine pehle labhi kisi anjan ladki se baat tak nhi ki, raat hone lagi thi log khana kah kr sone lage the, maine bhi socha aur bhuk bhi lag rahi thi, so maine bag me rakhi ek biscuit ka packet nikala maine packet kholte hi us ladki ke taraf badhaya, usne ek pyari si smile dete hue bola , no thanks aap khayiye, fir mere dubar kehne se usne ek biscuit liya, phir usne mujshe pucha ki aap kaha ja rhe hai maine bta diya, phir maine yahi sawal usse kiya toh usne bataya ki aapke stopies ke 6 stopies baad mujhe utarna hai, aisehi kuch baate hone lagi phir usne bataya ki apne mama ke ghar chuttiyaan bitane jaa rhi hai, wo medical ki student hai, baat karte karte hum log ek dusre se kitne ghul mil gaye the, ab wo baat baat pe khul ke muskurane bhi lagi thi , jo uske sundarta pe chaar chand laga rha tha, meri ek aadat hai mujhe safar me nind nahi aati, maine kaha aapko nind aa rhi hogi na , uska jawab sunkar mujhe aaschyra hua usne bhi bataya ki use bhi safar ke dauran nind nahi aati, toh hum idhar udhar ki baatein karne lage , mujhe aishe laga ki hum ek dusre ko bht dino se jante hai itna ghul mil gaye ki samay ka pata nhi chala. Meri stop aane me aur 2 stop bache the, main apne ghari ki taraf nazar ghumai aur apna saman ek jagha karne laga , wo mujhe ek tk dekhti rahi phir usne bola aapse baat karke mujhe accha laga. Maine bhi jawab me yahi kha , phir usne bola mai sab se itni baatein nahi karti
Lekin pata nhi aapse kaise kar li, ab uski chehre pe wo hasi nhi dikh rahi thi, mujhe bhi kuch accha nhi lag rha tha , mai soch rha tha ki kaas yeh safar kabhi khatm na ho , yun hi chalti rahe. Hum ek dusre se yun hi baatein karte rahe, wo aisehi muskurati rahe . kitna mn halka ho gya tha usse baatein karke, kitna accha feel kr rha tha main . fir train ek station pe ruki ,yeh last stop tha iske baad mera stop aane wala tha . bechaini aur jyada badhne lagi na jane kyo, wo chul chaap udaas hokr baithi thi . koi pyari si phul murjha gayi ho. Phir achank usne bht bhre hue aawaz me kaha kya hum phir milenge,
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें